Sarfaroshi Ki Tamanna

I wanted badly the complete poem ‘Sarfaroshi Ki Tamanna’ {rendered brilliantly by Atul Kulkarni in ‘Rang De Basanti’} scripted by Ram Prasad Bismil. This post will be the end for that search:

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai

Karta nahin kyun doosra kuch baat cheet,
Dekhta hun main jise voh chup teri mehfil mein hai
Ay shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar,
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

Waqt aanay dey bata denge tujhe ay aasman,
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed,
Aashiqon ka aaj jamghat koocha-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar,
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar.
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se,
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se.
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan,
Chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam.
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab,
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj.
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.

Yoon khara maqtal mein qatil keh raha hai baar-baar,
Kya tamanna-e-shahaadat bhi kisi ke dil mein hai.

Update: Another version of the same, from one of the kind commentors on this blog, Aaryan Collun Sutherland. The comment deserves a complete space in the post, so here it goes.

 

Something i found on the net the other day… wished to share it with you all… Hope it contains the omitted verses of the poem

Sarfaroshi Ki Tamanna
Ram Prasad Bismil

Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
Waqt Aane Pe Bata Denge Tujhe Hai Aasmaan
Kya Baatein Hum Junoonein Shok Kis Manzil Mein Hai
Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
Sarfaroshi Ki Tamanna

Dooriyaan Umeed Ki Na Aaj Humse Choot Jaaye
Milke Dekha Hai Jine Woh Sapne Bhi Na Root Jaaye
Hausle Woh Hausle Kya Jo Sitam Se Toot Jaaye
Hausle Woh Hausle Kya Jo Sitam Se Toot Jaaye
Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
Tere Sone Roop Ko Hum Ek Nayi Bahar Denge
Apne Hi Lahoon Se Tera Rang Hum Nikhaar Denge
Desh Mere Desh Tujhpe Zindagi Bhi Waar Denge
Desh Mere Desh Tujhpe Zindagi Bhi Waar Denge

Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
Khushboo Banke Mehka Karenge Hum Lelahti Har Faslo Mein
Saas Ban Ke Hum Gun Gunayenge Aane Wali Har Naslo Mein
HumKhushboo Banke Mehka Karenge
Hum Lelahti Har Faslo Mein
Saas Ban Ke Hum Gun Gunayenge Aane Wali Har Naslo Mein
HumAane Wali Aane Wali Naslo Mein Hum

Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
Waqt Aane Pe Bata Denge Tujhe Hai Aasmaan
Kya Baatein Hum Junoonein Shok Kis Manzil Mein Hai

Version 2:

Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
Sarfaroshi
Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
Dekh Sakta Hai To Bhi Dekh Le Aye Aasmaan
Hausla Yeh Dekh Ke Qaatil Badi Mushkil Mein
Sarfaroshi Sarfaroshi Sarfaroshi
Sarfaroshi Sarfaroshi Sarfaroshi
Sarfaroshi Sarfaroshi Sarfaroshi

Apne Hi Lahoo Se Likhenge Hum Apni Daastaan
Zaalimon Se Cheen Lenge Yeh Zameen Yeh Aasmaan
Apne Hi Lahoo Se Likhenge Hum Apni Daastaan
Zaalimon Se Cheen Lenge Yeh Zameen Yeh Aasmaan
Sar Fire Jawan Hum To Maut Se Bhi Na Darre
Aansh Aye Desh Pe Yeh Kyon Gawara Hum Kare
Mulk Pe Qurbaan Ho Yeh Aarzoo Dil Dil Mein Hai
Sarfaroshi
Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai

UPDATE

Courtesy of Aravind [aravindNOSPAMdotNOSPAMagarwalNOSPAMatNOSPAMgmailNOSPAMdotcom] heres the same poem in the devanagari script. All the credits for this hindi vesion goes to araving, I’m just posting his comment in this post verbatim:

सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है
देखना है ज़ोर कितना बाज़ुए कातिल में है

करता नहीं क्यूँ दूसरा कुछ बातचीत,
देखता हूँ मैं जिसे वो चुप तेरी महफ़िल में है
ए शहीद-ए-मुल्क-ओ-मिल्लत मैं तेरे ऊपर निसार,
अब तेरी हिम्मत का चरचा गैर की महफ़िल में है
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

वक्त आने दे बता देंगे तुझे ए आसमान,
हम अभी से क्या बतायें क्या हमारे दिल में है
खैंच कर लायी है सब को कत्ल होने की उम्मीद,
आशिकों का आज जमघट कूच-ए-कातिल में है
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

है लिये हथियार दुशमन ताक में बैठा उधर,
और हम तैय्यार हैं सीना लिये अपना इधर.
खून से खेलेंगे होली गर वतन मुश्किल में है,
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

हाथ जिन में हो जुनून कटते नही तलवार से,
सर जो उठ जाते हैं वो झुकते नहीं ललकार से.
और भड़केगा जो शोला-सा हमारे दिल में है,
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

हम तो घर से निकले ही थे बाँधकर सर पे कफ़न,
जान हथेली पर लिये लो बढ चले हैं ये कदम.
जिन्दगी तो अपनी मेहमान मौत की महफ़िल में है,
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

दिल में तूफ़ानों कि टोली और नसों में इन्कलाब,
होश दुश्मन के उड़ा देंगे हमें रोको ना आज.
दूर रह पाये जो हमसे दम कहाँ मंज़िल में है,
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है
देखना है ज़ोर कितना बाज़ुए कातिल में है

यूँ खड़ा मौकतल में कातिल कह रहा है बार-बार,
क्या तमन्ना-ए-शहादत भी किसि के दिल में है.

Published by Poorna Shashank

IIITian. Optimist of the B ve type. Hopeless Indophile. Relentless Observer. Absolute Egomaniac. Pragmatic Philosopher. Dreamer Achiever. Pro-Human. Pro-progressive. Anti Fads. Karma believer. Thiestic Athiest. Loves Food & Fun. Self-Unemployed & Self-Employed. Startup Ex-Entrepreneur. In short, a heady mix of contradictions.

57 thoughts on “Sarfaroshi Ki Tamanna

    1. yar movi main shammil karnay walay ka naam lay rhay ho writer ka nhin lo gay???????????Allama Iqbal wrote it…

  1. well whether this is the original poem written by the great RamPrasad Bismil or whether it is modified?
    it seems that the few of the stanzas are taken from the hindi movie songs and not the original ones.

  2. @dr. sanjay
    cant vouch for if it has been tampered with. i got them from one of the mailing lists i subscribe to

    @pradeep
    why not? neither am i saying those are my lyrics nor am i getting any financial output from it. would then such work be copyrighted, say the national anthem or national song?

  3. I dont know how much have u searched for this poem, but this is not a complete poem. I have 2 paras more but i dont know where do they fit in. but still the search goes on for the complete poem.

  4. Hi! Good job Poorna… This song had impressed me since my childhood. My elder brother used to read me the kaakori dacoity, about great chandrashekhar azad, ram prasad bismil and Bismil’s hammer which shattered the lock on the treasure case in kakori… Thank you so much for this lovely poem, God bless you. I’m mailing this poem to my good friends. Vande maatharam..

  5. @sameer singhal
    is it? in that case the search continues

    @manohar
    thanks manohar and totally nothing like listening to the poem; just brings those visages rushing to us. dont thank me sir, just the ram prasad bismil who brought life to words.

  6. Great Work Buddy!!!

    Thanks a lot!!
    I just simply Love you for this !!…
    Be in contact if possible…

    Tan is in Orkut!! 🙂

    Enjoy!

  7. Greetings from PAkistan…..
    Chaa Gao Janab………… I am A great fan of Baghat Singh. I loved this poem…. Boht josh wali hai…… I was searching for it since a long time…. Thankx yaar!!..
    🙂

  8. Something i found on the net the other day… wished to share it with you all… Hope it contains the omitted verses of the poem

    Sarfaroshi Ki Tamanna
    Ram Prasad Bismil

    Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
    Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
    Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
    Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
    Waqt Aane Pe Bata Denge Tujhe Hai Aasmaan
    Kya Baatein Hum Junoonein Shok Kis Manzil Mein Hai
    Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
    Sarfaroshi Ki Tamanna

    Dooriyaan Umeed Ki Na Aaj Humse Choot Jaaye
    Milke Dekha Hai Jine Woh Sapne Bhi Na Root Jaaye
    Hausle Woh Hausle Kya Jo Sitam Se Toot Jaaye
    Hausle Woh Hausle Kya Jo Sitam Se Toot Jaaye
    Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
    Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
    Tere Sone Roop Ko Hum Ek Nayi Bahar Denge
    Apne Hi Lahoon Se Tera Rang Hum Nikhaar Denge
    Desh Mere Desh Tujhpe Zindagi Bhi Waar Denge
    Desh Mere Desh Tujhpe Zindagi Bhi Waar Denge

    Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
    Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
    Khushboo Banke Mehka Karenge Hum Lelahti Har Faslo Mein
    Saas Ban Ke Hum Gun Gunayenge Aane Wali Har Naslo Mein
    HumKhushboo Banke Mehka Karenge
    Hum Lelahti Har Faslo Mein
    Saas Ban Ke Hum Gun Gunayenge Aane Wali Har Naslo Mein
    HumAane Wali Aane Wali Naslo Mein Hum

    Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
    Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
    Waqt Aane Pe Bata Denge Tujhe Hai Aasmaan
    Kya Baatein Hum Junoonein Shok Kis Manzil Mein Hai

    Version 2:

    Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
    Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
    Sarfaroshi
    Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
    Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai
    Dekh Sakta Hai To Bhi Dekh Le Aye Aasmaan
    Hausla Yeh Dekh Ke Qaatil Badi Mushkil Mein
    Sarfaroshi Sarfaroshi Sarfaroshi
    Sarfaroshi Sarfaroshi Sarfaroshi
    Sarfaroshi Sarfaroshi Sarfaroshi

    Apne Hi Lahoo Se Likhenge Hum Apni Daastaan
    Zaalimon Se Cheen Lenge Yeh Zameen Yeh Aasmaan
    Apne Hi Lahoo Se Likhenge Hum Apni Daastaan
    Zaalimon Se Cheen Lenge Yeh Zameen Yeh Aasmaan
    Sar Fire Jawan Hum To Maut Se Bhi Na Darre
    Aansh Aye Desh Pe Yeh Kyon Gawara Hum Kare
    Mulk Pe Qurbaan Ho Yeh Aarzoo Dil Dil Mein Hai
    Sarfaroshi
    Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
    Dehkna Hai Zor Kitna Baajuen Qaatil Mein Hai

  9. The addendum by Aryan Collun Sutherland is taken from the movie “The legend of Bhagat Singh”. These added stanzas were not written by Bismil Saahab. But they also are good.

  10. Wow amazing poetry by Bismil, so motivational right. This is true that “One person’s Freedom Fighter is other person’s terrorist”, as these guys were considered terrorist by the British regime. This is also true that “History repeats it self”, as the fighters like Bhagat Singh, Azad & Bismil are called terrorist by Indian Regime in Kashmir.

    Just put your self in the shows on Kashmiri Mujahideen and tell me where are they different from the freedom fighters of early 1900 against British.

  11. Mere watan, Mere watan, Mere watan teri jannat mai aaaingay aik din;
    Sitam Shuaroon say tujh ko chuRaaingay aik din.
    Inquilaab Zindabaad
    Inquilaab Zindabaad

    Kashmir kee aazadi tak ham chain say nahee baithaingay.

  12. Here is one para in Devnagari, let me know if you want the full poem. I love this poem.

    सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है.
    देखना है ज़ोर कितना बाज़ुए कातिल में है

    करता नहीं क्यूं दूसरा कुछ बात चीत,
    देखता हु मैं जिसे वह चुप तेरी महफ़िल में है
    ऐ शहीद-ए-मुल्क-ओ-मिल्लत मैं तेरे ऊपर निसार,
    अब तेरी हिम्मत का चरचा गैर की महफ़िल में है
    सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

  13. Wonderful Poem (more than just a poem) amazingly crafted and arranged by Great Bismil Azimabadi and adapted by Revolutionary Ram Prasad Bismil. See:- http://en.wikipedia.org/wiki/Sarfaroshi_ki_Tamanna
    And in no way is this post a violation of anyone copyright. I’m an advocate dealing in IPR ( intellectual property rights) matters and this poem is our national heritage and we all have an emotional right over this poem, so let’s go ahead and live the “bismil” in each and everyone of us.

  14. Here is the complete poem in देवनागरी लिपि.
    ——————————————————-
    सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है
    देखना है ज़ोर कितना बाज़ुए कातिल में है

    करता नहीं क्यूँ दूसरा कुछ बातचीत,
    देखता हूँ मैं जिसे वो चुप तेरी महफ़िल में है
    ए शहीद-ए-मुल्क-ओ-मिल्लत मैं तेरे ऊपर निसार,
    अब तेरी हिम्मत का चरचा गैर की महफ़िल में है
    सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

    वक्त आने दे बता देंगे तुझे ए आसमान,
    हम अभी से क्या बतायें क्या हमारे दिल में है
    खैंच कर लायी है सब को कत्ल होने की उम्मीद,
    आशिकों का आज जमघट कूच-ए-कातिल में है
    सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

    है लिये हथियार दुशमन ताक में बैठा उधर,
    और हम तैय्यार हैं सीना लिये अपना इधर.
    खून से खेलेंगे होली गर वतन मुश्किल में है,
    सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

    हाथ जिन में हो जुनून कटते नही तलवार से,
    सर जो उठ जाते हैं वो झुकते नहीं ललकार से.
    और भड़केगा जो शोला-सा हमारे दिल में है,
    सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

    हम तो घर से निकले ही थे बाँधकर सर पे कफ़न,
    जान हथेली पर लिये लो बढ चले हैं ये कदम.
    जिन्दगी तो अपनी मेहमान मौत की महफ़िल में है,
    सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

    दिल में तूफ़ानों कि टोली और नसों में इन्कलाब,
    होश दुश्मन के उड़ा देंगे हमें रोको ना आज.
    दूर रह पाये जो हमसे दम कहाँ मंज़िल में है,
    सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है
    देखना है ज़ोर कितना बाज़ुए कातिल में है

    यूँ खड़ा मौकतल में कातिल कह रहा है बार-बार,
    क्या तमन्ना-ए-शहादत भी किसि के दिल में है.

  15. hi, i jst want to say, ye kehna sunna bahut ho gaya sir g, now its the time to do something for our country.. we r the youth, we r the pillers of india, sirf ye mails karne se kuch nahi hoga, aaj ka youth khota ja raha hai, sarfaroshi——- is not only a poem its a emotion, its a fire, feel it and come on , lets show the example to world…..
    i m tryin 2 do lots for our country, i need suppourt of truly indians, aaj ke dudes nahi chahiye mujhe saccha bhartiya chahiye.. banna chahenge aap. chalenge bhagat singh g aur bismil g ke aadarshon pe..
    agar aag hai to aao , baat mat karo karm karo desh k liye, bahut galat haathon me hai hamara adesh aaj ksal

  16. Thanx 4 da gr8 job..
    I luv dis poem..
    I want to tell Asfeen ali dat plz dont compare Kashmir Mujahideens wid Shaheed-a-aajam Bhagat Singh. Afseen just keep in mind dt Bhagat Singh sacrified his life 4 the nation, not 4 a separate country of his religion,ryt? He never killed innocents but the innocents have been killed in Kashmir Valley 4 years by Mujahideens.
    So dont dare to compare dat fanatics with dat gr8 martyer.
    Jai Hind..

  17. to get sumthing u had alwaz craved for definitly causes a smiles on ur face………and m smilin while writin dis………..thanx to all those who have contributed………no words can describe the beauty of the words that bismil chose…………

  18. @ asfeen ali
    plese dnt blame the indian regime…….history speaks in favour of indyeah……..kashmir is an integral part of indeah………..lets not divide this country further………it has had already suffered enough….i m talkin bout dat condemned partiotn

  19. How can people be so biased??? yeh to wohi baat hoee kay tumhara khooon “Khoon” aur humara khoon “Pani”!!!

    Hum aah bhee kartay hain to ho jatay hain badnaam,
    Woh qatl bhee kartay hain to charcha nahee hotaa.

  20. @afseen & navdeep
    Forget it guys. The whole point of which country does kashmir belongs is so heavily loaded with emotion & politics – I don’t think any of our voices of people belonging to either sides makes any sense – its best left to the kashmiris to decide for themselves.

  21. kashmir is of kashmiris and pakistani not any one else as it was decided in a treaty
    its a land of people and what did the hindu raja did he sold it to english people and thats what india is going to do so Kashmir should be free from india if not with Pakistan

  22. The first post which is the original version of this poem was written by Bismil Azimabadi one of the great Poet of Bihar (Patna), earlier patna was known as Azimabad.
    HIs entire collection of poetry (Diwaan e Bismil) including this one is preserved in Khuda Bakhsh Oriental Public Library, Patna (Bihar) one of the biggest library in Asia managed by Government of India.

  23. Ram Prasad Bismil was a freedom fighter so this poem is refernced with him, most of the people think that Ram prasad Bismil wrote this poem but reality is that it was written by another poet Bismil Azimabadi, he used to give motivation to freedom fighters from his poetry.

  24. Hi i liked Bhagat sing and he is my role model… plz forward some great details of freedom struggles by bhagat singh to my mail….

    I really love to join Indian Army and fight for the country….
    my mail id is hari3451@gmail.com

    1. Sarfaroshi ki Tamanna is a poem in Urdu, written by Bismil Azimabadi. Ram Prasad Bismil, the great Indian Independence leader, famously involved with Kakori Train Robbery made it popular. Alternatively, authorship itself is sometimes attributed to Ram Prasad Bismil[2][3]). The poem is written as an ode to the young freedom fighters of the Indian Independence Movement, and is often associated with the younger generation of inter-war freedom fighters such as Shaheed Bhagat Singh and Chandrashekhar Azad.

  25. ye wo words hai jo dil me otar jaate hai or har hindustani ko hindustani hone ka ehsaas karate hai
    this is voice of my heart . i love it and i believe every indian have also.

  26. Sarfaroshi kii tamannaa ab hamaare dil mein hai
    Dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai

    Ek se karataa nahin kyon doosaraa kuchh baat-cheet
    Dekhtaa hun main jise woh chup teri mehfil mein hai

    Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
    Ab teri himmat ka charchaa gair kii mehfil mein hai

    Sarfaroshi kii tamannaa ab hamaare dil mein hai
    Dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai

    Waqt aane de bataa denge tujhe aye aasamaan
    Hum abhii se kyaa bataayen kyaa hamaare dil mein hai

    Kheench kar laayee hai sab ko qatl hone ki ummeed
    Aashiqon ka aaj jamaghat koonch-e-qaatil mein hai

    Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
    Dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai

    Hai liye hathiyaar dushman taak mein baithaa udhar
    Aur hum taiyyaar hain seena liye apnaa idhar

    Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
    Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai

    Haath jin mein ho junoon katate nahin talvaar se
    Sar jo uth jaate hain vo jhukate nahin lalakaar se

    Aur bhadakegaa jo sholaa-saa hamaare dil mein hai
    Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai

    Hum to nikale hii the ghar se baandhakar sar pe kafan
    Jaan hatheli par liye lo barh chale hain ye qadam

    Zindagi to apnii mehamaan maut ki mehfil mein hai
    Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai

    Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar-baar
    Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai

    Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab
    Hosh dushman ke udaa denge hamein roko na aaj

    Duur rah paaye jo hamse dam kahaan manzil mein hai
    Sarfaroshi kii tamannaa ab hamaare dil mein hai

    Jism bhi kya jism hai jisamein na ho khoon-e-junoon
    Kya wo toofaan se lade jo kashti-e-saahil mein hai

    Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai
    Dekhanaa hai zor kitnaa baaju-e-qaatil mein hai

  27. िदल से निकलेगी न कर भी वतन की उलफत
    मेरी मिट्टीसे भी ख़ुशबू – अे – वतन आअेंगी

    -वीरभगतसिंह

  28. Once a poet patient of mine in Patna(Azimabad) told me that this poem is written by Bismil azimabadi and wrongly attributed to Ram prasad Bismil .

Leave a reply to zakir86 Cancel reply