Shaayari from ZNMD

1 – After the deep sea dive

Pighlae neelam sa behtaa hua yeh sama

Neeli neeli si khaamoshiyaan

Na kahiin hai zameen

Na kahiin aasmaan

Sar saraati hui tehniyaan… pattiyaan

Keh rahi hai ki bas ek tum ho yahaan

Sirf main hoon

Meri saansen hai aur meri dhadkanen

Aisi gehraayiyaan

Aisi tanhaayiyaan

Aur main

Sirf main

Apne honae pae mujhko yakeen aa gaya

2 – After meeting Imran’s biological dad

Jab jab dard ka baadal chaaya

Jab hum ka saayaan lehraaya

Jab aansoon palkon tak aayaa

Jab yeh tanha dil ghabraaya

Humne dil ko yeh samjhaaya

Dil aakhir tu kyuun rota hai

Duniya mein yuun hi hota hai

Yeh jo gehren sannaatae hain

Waqt ne sab ko hi baantae hain

Thoda gham hai sabka kissa

Thodi dhoop hai sabka hissa

Aankh teri bekaar hi nam hai

Har pal ek nayaa mausam hai

Kyun tu aisae pal khota hai

Dil aakhir tu kyuun rota hai

3 – Bull run

Dilon mein tum apni betaabiyaan laekae chal rahe ho

toh zinda ho tum

Nazar mein khwaabon ke bijliyaan laekae chal rahe ho

toh zinda ho tum

Hawa kae jhonkon ke jaise aazaad rehnaa seekho

Tum ek dariyaa ke jaise lehron mein behna seekho

Har ek lamhe se tum milo kholae apni baahein

Har ek pal ek naya sama dekhe yeh nigaahen

Jo apni aankhon mein hairaaniyaan laekae chal rahe ho

toh zinda ho tum

Dilon mein tum apni betaabiyaan laekae chal rahe ho

toh zinda ho tum

By Javed Akhtar Saab

Advertisement
Leave a comment

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Connecting to %s

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.

Join 115 other followers